Sahkil Badayuni,,
Writer Rizwan Ahmed 02-September-2020
मुझे तो क़ैद-ए-मोहब्बत अज़ीज़ थी लेकिन
किसी ने मुझको गिरफ्तार करके छोड़ दिया,
Mujhe to qaid-e-mohabbat aziiz thī lekin
kisī ne mujh ko giraftār kar ke chhod diyā,
कांटो से गुज़र जाता हूँ मै दामन को बचा कर
फूलों की शिकायत से मै बेगाना नहीं हूँ,
kāñToñ se guzar jaatā huuñ dāman ko bachā kar
phūloñ kī siyāsat se maiñ begāna nahīñ huuñ,
ऐ मोहब्बत तेरे अंजाम पे रोना आया
जाने क्यों आज तेरे नाम पे रोना आया,
Ai mohabbat tere anjām pe ronā aayā
jaane kyuuñ aaj tere naam pe ronā aayā,
कैसे कह दूँ के मुलाक़ात नहीं होती है
रोज मिलते हैं मगर बात नहीं होती है,
kaise kah duuñ ki mulāqāt nahī hotī hai
roz milte haiñ magar baat nahī hotī hai
उनका ज़िक्र उनकी तमन्ना उनकी याद
वक़्त कितना क़ीमती है आज कल
Unka zikr unki tamannā unki yaad
vaqt kitnā qīmtī hai aaj kal,
कभी यक़-ब-यक़ तवज्जो कभी दफअतन तग़ाफ़ुल
मुझे आज़मा रहा है कोई रुख बदल बदल के,
kabhī yak-ba-yak tavajjoh kabhī daf.atan taġhāful
mujhe aazmā rahā hai koī ruḳh badal badal kar
मुझे दोस्त कहने वाले ज़रा दोस्ती निभा दे
ये मुतालबा है हक़ का कोई इल्तजा नहीं है
mujhe dost kahne vaale zarā dostī nibhā de
ye mutālba hai haq kā koī iltijā nahīñ hai
ये अदा-ए-बे-नियाज़ी तुझे बेवफा मुबारक
मगर ऐसी बेरुखी किया के सलाम तक ना पहुंचे,
ye adā-e-be-niyāzī tujhe bevafā mubārak
magar aisī be-ruḳhī kyā ki salām tak na pahuñche
0 Comments