Writer Rizwan Ahmed 03-Oct-2020
और भी दुख हैं ,ज़माने में मोहब्बत के सिवा
राहतें और भी हैं वस्ल की राहत के सिवा,
Aur bhī dukh haiñ zamāne meñ mohabbat ke sivā
rāhateñ aur bhī haiñ vasl kī rāhat ke sivā,
कर रहा था ग़म-ए-जहां का हिसाब
आज तुम याद बे-हिसाब आये,
kar rahā thā ġham-e-jahāñ kā hisāb
aaj tum yaad be-hisāb aaye,
दिल ना-उम्मीद नहीं नाकाम ही तो है
लम्बी है ग़म की शाम मगर शाम ही तो है
Dil nā-umīd to nahīñ nākām hī to hai
lambī hai ġham kī shaam magar shaam hī to hai,
और किया देखने को बाक़ी है
आपसे दिल लगा के देख लिया,
Aur kyā dekhne ko baaqī hai
aap se dil lagā ke dekh liyā,
दोनों जहाँ तेरी मोहब्बत में हार के
वो जा रहा है कोई शब्-ए-ग़म गुज़ार के,
Donoñ jahān terī mohabbat meñ haar ke
Wo jā rahā hai koī shab-e-ġham guzār ke,
तुम्हारी याद के जब जख्म भरने लगते हैं
किसी बहाने तुम्हे याद करने लगते हैं,
Tumhārī yaad ke jab zaḳhm bharne lagte haiñ
kisī bahāne tumheñ yaad karne lagte haiñ
वो बात सारे फ़साने में जिसका ज़िक्र ना था
वो बात उनको बहुत ना-गंवार गुज़री है,,
Wo baat saare fasāne meñ jis kā zikr na thā
wo baat un ko bahut nā-gavār guzrī hai
नहीं निगाह में मंज़िल तो जुस्तुजू ही सही
नहीं विसाल मयस्सर तो आरज़ू ही सही,
Nahīñ nigāh meñ manzil to justujū hī sahī
nahīñ visāl mayassar to aarzū hī sahī
गुलों में रंग भरे बाद-ए नौ-बहार चले
चले भी आओ के गुलशन का कारोबार चले
Guloñ meñ rañg bhare bād-e-nau-bahār chale
chale bhī aao ki gulshan kā kārobār chale,
आये तो यूं के जैसे हमेशा थे मेहरबान
भूले तो यूं की गोया कभी आशना ना थे,
Aaye to yuuñ ki jaise hamesha the mehrbān
bhūle to yuuñ ki goyā kabhī āshnā na the,
0 Comments